Hindi ka Hota Virodh
Dear All Hindustani...
Jisa kee aap sabhi jante hi ke hindi ko rashtra bhasha mana gya hi or hindi ko bharat ke bhut bade bhubhag per bola wa samjha jata hi. Per muje lagta hi kee ajadi ke 61 saal bad bhi hum hindi ko pure tarike se apna nahi paaye hi. Aaj bhi desh me local languages hindi per hawi hi.
Mera marlab ye bilkul nahi hi kee hum apni local language ko bhul jyee, per iska ye matlab to bilkul nahi hi kee hum hindi bolne walo ko tuch samje , unka bahishkar kare or ynha tak kee un per atychar kare.
Jesa kee hum sab jante hi kee september mahine ka phala phakhwad hindi diwas ke roop me mnya jata hi , or is bat per jor diya jata hi ke hum hindi me bat kary or is bole chal me adhik se adhik use kare. kya humne aaj tak english day, mhrathi day, tamil day ( related to languages) mnaya hi... shyad nahi...
per fir har saal september me ky? hindi diwas manya jata hi..... shyad abhi tak hindi ko smman nahi mila jo milna chaiyeee...
Jara socho ky? hindi ko rasht bhasha mana gya ?.....
jab desh ajjad hua to sab jante the ke desh me bhut saari riyaste thi or sab riyasato ka apna kanoon tha, apni bhasha thi , jiske karan hume ek esa madhyam chaiyee tha jo desh ko ek shakti sahli rasht me bandhe ...Isliyee Hindi ko uske liye chuna gya. jisse desh majboot bane .
lekin aaj muje ye sooch kar bhut dookh hota hi kee ku? humre netao ne us samye hindi ko rasht bhash mana , akhir ku?
Ku? us smaye English ko rasht bhasha mana gya. ku? nahi marathi , asmai or tamil ko rasht bhasha mangya... ku? nahi us smaye RAJ Thakrye se poocha gya kee hum mrahti ko rasht bhasah mane, ku nahi bodo or ulfa walo se poocha gya kee asami ko rasht bhasha bana de, akhir ku?
OR us samye jab desh ajad hua to ENGLISH ko rasht bhash nahi mana gya ? Jab kee us samye ke sare neta log jante the kee english ek antar rashtriya bhasha hi or wo agar desh kee rasht bhasha banyee jayeegyee to desh kee economic growth jyada ho gyee.
Muje lagta hi kee naa to us samye netao ko desh kee jaroorat thi or na hi aaj. Us samye bhi , ghandi ji, nehru ji etc bade neta english ko jante the...or hindi ko bhi, wo shyad nahi chate the kee desh ke janta ko mukhya dhara me lya jye...
Aaj jab maharashtra ke baare me sunte hi kee wnha hindi bolne walo ke saath door vhyvhar ho raha hi to under se ek aakrosh ubhrta hi... kee kya hum itne un samj hanin kee ek neta ke bato me aaakar itne nirdyee ho gyee kee logo ko mare ...sirf hindi bolne per , ya fir wo hindi bhul ilake se ...
hume ne hindi ko rasht bhash mana desh ko jodne ke liyee na kee Raj jase netao ke liyee jo desh ko kuch de to sakte nahi hna per apni katu juban se todne ka kam jarror kar rahi hi...
hindi per likhne ke liye bhut hi is man me per aaj itna hi...
aap logo ke su vichar amantrit hi..